Subscribe Us

Pakistan Ka swetzerland sawat

                     Sawat Pakistan

      Sawat k ilaqa jaat Ka sarsari jaiza



  Wadi sawat apni fitri dilkashi aur ranai ki wjh se Pakistan ka aik haseen tareen khitta hai,is k qudrti manazir,shafaaf nadiyan,talismati jheelen,buland abshaaren aur ba ronaq medani ilaaqy har insan Ka Dil moh lete Hain,,sawat Ka zikr qadeem kutab main b nazar ata hai,qadeem kitaabon main issy "Odiaana" k nam se pukara Gaya hai Jo sanskrt zuban ka lafz hai.


10360 murabba kilo meeter p muheet ye wadi apni khubsurti k atbaar se apni misaal ap hai,

Ye wadi jannat nazeer hai idr Kai kisam ki imarti lakri,lazeeza phal,sehat baksh bootiyan aur Kai madni ashiya k khzany rakhti hai.


Sawaat Ka haqeeqi hussan iski balai wadiyon Yani "Madeen" aur "Shangla"
"Miyandam" 
Kalamazoo
Oshoo
Ye isky deeda zaib muqaam hain.,,




Ye sattah samander se 1295 se 2550 kilo meeter bulandi pe waqia hain.
Hal hi main Malam jabba k mukaam pe sakki krne Ka tafreeh muqaam (Sakki resort) bnaya gya hai,Jo mengora se 39 kilo meeter k fasly pe mojod hai


          Pakistan Ka swetzerland


Sawat ko Pakistan Ka swetzerland Kaha jata hai,1965 main Pakistan ki deegr riyasto ki trha riyasat sawat ko bhi Pakistan main aik zilla ki hasiyt Mili,,
Wadi Ka ahm muqaam Seedo shreef hai



    1.                    Mengora


Mengora wadi sawat Ka sub se bada shehr hai,Darya e sawat k kinary waqya ye sheher sattah samander se 984 meeter bulnd hai,mengora main Gandhara Tehzeeb k Kai aasar zahir Hoy Hain in se be shumaar qeemti khzany bramad kiy gy**

        2.                Malakand


Malakand kheber pakhtoon khua Ka raqby k lihaz se aik tahai hai jis main 7 district Hain,Sikander e Azam ne Hindustan pe hamla krty wqt is ilaqy Ka istmaal Kia tha,malakand main mojood sar sabz ghnna jungle hai jisk sbza ankho ko faraht bakshta hai



         3.              Chakdrra


Chakdrra river sawat ke shumali janib sawat se Lower Der k dakhli rasty pe wqiya aik chota sa qasba hai,Peshawar aur Sedoo shaeeef se 130 kilo meeter pe waqia hai,chakdrra fort k qareeb aik pahaar pe waqia charcoal post British pm bahesiyat janngle Nama nigaar rehaish pazeer rahi


         4.           Marghzaar


Sedo shaeeef se 13 km k fasly per Aleeum Pahari k neechy waqia marghzaar aik qasba hai,1940 k start main San e mar mar se bnaya gya aik mehal is qasby ko Shan o shokat aur Jan o jalal Ka manzar deta hai,is mehal ko hotel ki shakl di gai hai,


    5.                  Malam jabba


Sattah samander se 8700 ft ki bulandi pe waqia Malam jabba Sakki krne Ka ahm tareen muqaam hai,is jga ko tafrrehi muqam bnany k liy darj zail saholiyat se arasta Kia gya hai
1. 52 rooms pe muheet hotel
2. Chair lift 800 m lambai pe waqia hai
3. Scating k liy barfani boards
4. Telephone
5. Peeny k liy chashmon Ka saaf Pani
6. restaurant jis main pakiPakis aur continental khany shamil Hain


     6.                     Kalaam


Wadi e kalam Darya e sawat k shru main waqia aik dilkash tafrehi muqaam hai ye wadi apni qudrti absharoon haseen jheelon aur sabaz paharon ki wajh se Pori dunya main famous hai, Islamabad se iska fasla 270 km hai,



Wadi e kalam 2 hisson pe mushtamil hai jinhe wadi osshu aur wadi gabraal Kaha jata hai oshuu main mahondand lake aur gabral main kandol lake waqia hai.


  7.                      Madeen


Sawat k ahm tafrehi muqamat main se aik hai Jo sata samander se 1321 M ki bulandi pe waqia hai ye jga trout fish k liy Pori dunya main famous hai


       8.                 Behreen 


Behreen sayyhon Ka aik behtreen tafrrehi muqam hai,behreen main mojood hotel aur bazar ki wjh se idr sayyaho Ka rush rhta hai,behreen k qareeb waqia jungle ( hiking) k liy choty bry rasty aur tracking mojood hai



                     Ooshu and atrrot


Wadi kalam se Kuch fasly per ooshu aur atroot drya k aik muqaam p ikhty hoty Hain,wadi kalam k shumaal masriq main 6257 ft ki bulandi pe waqia hai,ye wadi fishing aur tracking k liy boht ahm hai,ariyyan Tehzeeb se niklta Pani aur aj ka drya e sawat kalam main ooshu atrroot ka muqaam pe hota hai aur 160 km Ka Safar krty Hoy chakdrra pe niklta hai,Darya e sawat ki total lambai 250 km hai.

Post a Comment

0 Comments